donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Miltee hai khoo-e-yaar se naar iltihaab mei’n *
Miltee hai khoo-e-yaar se naar iltihaab mei’n
kaafir hoo’n gar na miltee ho raahat 'azaab mei’n

Kab se hoo’n, kya bataaoo’n jahaan-e-kharaab mei’n 
shab haaye hijr ko bhee rakhoo’n gar hisaab mei’n

Taa fir na intezaar mei’n neend aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo khwaab me’in

Qaasid ke aate-aate khat ik aur likh rakhoon
mai’n jaanta hoo’n jo woh likhenge jawaab mei’n

Mujh tak kab unkee bazm mei’n aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab mei’n

Jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale 
kyoon badghumaan hoon dost se dushman ke baab mei’n 

Main muztarib hoon wasl mei’n khauf-e-raqeeb se
daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab mei’n

Mai aur haz'z-e-wasl, khudaasaaz baat hai
jaan nazr denee bhool gaya iztiraab mei’n

Hai tevaree chadee huee andar naqaab ke
hai ik shikan padee huee tarf-e-naqaab mei’n

Laakhaun lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhaun banaav, ik bigaadna itaab mein

Woh naaladil mei’n khas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf pade aaftaab mei’n

Woh sehar muddaa talbee mei’n na kaam aaye
jis sehar se safina ravaa’n ho saraab mei’n

'Ghalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hoo’n roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab mei’n


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 325