donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Karta hoo’n jama'a fir jigar-e-lakht-lakht ko.. *
Karta hoo’n jama'a fir jigar-e-lakht-lakht ko
arsa hua hai daawat-e-mizhgaa’n kiye hue

Fir waz'a-e-'ehtiyaat se rukane laga hai dam
barson hue hain chaak girebaa’n kiye hue

Fir garmnaala haay shararbaar hai nafas
muddat huee hai sair-e-chiraaghaan kiye hue

Fir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chala hai ishq
saamaan-e-sad hazaar namakdaan kiye hue

Fir bhar raha hai khaama-e-mizhgaan bakhoon-e-dil
saaz-e-chamantaraazee-e-daamaan kiye hue

Baahamdigar hue hain dil-o-deeda fir raqeeb
nazzaara-o-khayaal ka saamaan kiye hue

Dil fir tawaaf-e-koo-e-malaamat ko jaai hai
pindaar ka samankada weeraan kiye hue

Fir shauq kar raha hai khareedaar kee talab
arz-e-mata'a-e-'aql-o-dil-o-jaan kiye hue

Daude hai fir harek gul-o-laala par khayaal
sadgulsitaan nigaah ka saamaan kiye hue

Fir chaahta hoon naama-e-dildaar kholna
jaan nazr-e-dilfarebee-e-unwaan kiye hue

Maange hai fir kisee ko lab-e-baam par hawas
zulf-e-siyaah rukh pe pareshaan kiye hue

Chaahe fir kisee ko muqaabil mei’n aarzoo
soorme se tez dashna-e-mizhgaan kiye hue

Ik naubahaar-e-naaz ko taaqe hai fir nigaah
chehra furogh-e-mai se gulistaan kiye hue

Fir jee mein hai ki dar pe kisee ke pade rahai’n
sar zar-e-baar-e-minnat-e-darbaan kiye hue

Jee dhoondta hai fir wohee fursat ke raat din
baithe rahai’n tasavvur-e-jaanaan kiye hue

'Ghalib' hamei’n na ched ki fir josh-e-ashq se
baithe hain ham tahayya-e-toofaan kiay hue

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 465