donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile, *
Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile,
huraan-e-khuld mei’n teri surat magar mile.

Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal,
mere pate se khalaq ko kyo’n tera ghar mile?

Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
har shab piya hi karte hai’n, mai jis qadar mile.

Tujh se to kuchh kalaam nahi’n lekin ai nadim!
mera salaam kaheyo agar naama bar mile.

Tum ko bhi ham dikhaenge majnun ne kya kiya,
fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile.

Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi kare’n,
maana ke ek bazurg hamen ham safar mile.

Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna,
tum ko kahi’n jo ghalib-e-aashufta sar mile.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 440