donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zikr us pareewash kaa, aur phir bayaa’n apnaa *
Zikr us pareewash kaa, aur phir bayaa’n apnaa
ban gayaa raqeeb aakhir thaa jo raazdaa’n apnaa

Main wo kyon bahut peete bazm-e-ghair me’n yarab
aaj hi hua manzoor un ko imtihaan apna 

Manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'arsh se idhar hotaa kaash ke makaan apnaa

De woh jis qadar zillat hum hansee me’n talenge
baarey aashna nikla unka paasban apna

Dard-e-dil likhoo’n kab tak? Jaaoo’n unko dikhlaa doo’n 
ungliyaan figaar apni khaamaakhoo’n chakaan apnaa

Ghiste ghiste mit jaata aap ne aap Badla
nang-e-sajdah se mere sang-e-aastan apna

Ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
dost kee shikayat men hum ne hum-zabaan apna

Ham kahaa’n ke daanaa the? Kis hunar mei’n yaktaa the?
besabab huaa 'ghalib' dushman aasmaa’n apnaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 343