donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii rahaa *
Arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii rahaa 
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii rahaa 

jaataa hoo’n daagh-e-hasarat-e-hastii liye hue 
hoo’n shammaa-e-kushtaa darakhur-e-mahafil nahii rahaa

marne kii ai dil aur hii tadabiir kar ki mai’n 
shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahii’n rahaa 

ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aaiinaabaaz hai 
yaan imtiaaz-e-naakis-o-qaamil nahii rahaaa 

vaa kar diye hai’n shauq ne band-e-naqaab-e-husn 
Ghair az nigaah ab koii haail nahii rahaa 

go mai’n rahaa rahiin-e-sitam haaye rozagaar 
lekin tere khayaal se ghaafil nahii rahaa 

dil se havaa-e-kisht-e-vafaa mit ke vaa 
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahii rahaa 

bedaad-e-ishq se nahii’n darta magar 'Asad' 
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii rahaa 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 392