donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota *
Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

Tere waade par jiye ham to ye jaan chhoot jaanaa
ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

Teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehedbooda
kabhee too na tod sakta agar oostuwaar hota

Koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaa’n se hotee jo jigar ke paar hota

Ye kahaan ki dostee hai ke bane hai’n dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee ghamgusaar hota

Rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

Gham agarche jaangulis hai, pe kahaan bachain ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota,
 Kahoon kis se mai’n ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? Agar ait baar hota

Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyo’n na gharq-e-dariya
na kabhee janaaza uthata, na kahee’n mazaar hota

Use; kaun dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kahee’n do chaar hota

Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'ghalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baadakhwaar hota
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383