donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye jo ham hijr mei’n deewaar-o-dar ko dekhte hai’n *
Ye jo ham hijr mei’n deewaar-o-dar ko dekhte hai’n
kabhee saba ko kabhee naamaabar ko dekhte hai’n

Woh aaye ghar mei’n hamaare khuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte hai’n

Nazar lage na kahee’n uske dast-o-baazoo ko
ye log kyon mere zakhm-e-jigar ko dekhtai’n hai’n 

Tere jawaahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhai’n 
ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte hai’n
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345