donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh aake khwaab mei’n taskeen-e-iztiraab to de *
Woh aake khwaab mei’n taskeen-e-iztiraab to de
wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-khwaab to de

Kare hai qatl lagaawat mein tera ro dena
teree tarah koee tegh-e-nigah ko aab to de

Dikhaake jumbish-e-lab hee tamaam kar hamko
na de jo bosa, to mu’nh se kahee’n jawaab to de

Pila de oak se saaqee jo hamse nafrat hai
pyaala gar nahee’n deta na de, sharaab to de

'Asad' khushee se mere haath paa’nv phool gaye
kaha jo usne zara mere paa’nv daab to de

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 442