|
* Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak, *
Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak,
Kaun jitaa hai teri zulf ke sar hone tak,
Daam har mauj me'n hai halqaa-e-sadkaam-e-nahang,
Dekhe'n kyaa guzre hai qatre pe gauhar hone tak,
Aashiqi sabr-talab aur tamanaa betaab,
Dil kaa kyaa rang karu'n khun-e-jigar hone tak,
Ham ne maanaa ke taghaaful na karoge lekin,
Khaak ho jaayenge ham tum ko khabar hone tak.
|
|