donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Ghalib
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Naqsh-e faryaadi hay kis ki shokhi-ye tehreer ka *
Naqsh-e faryaadi hay kis ki shokhi-ye tehreer ka,
kaghazi hay pairahan, har paikar-e tasweer ka,

kave kave sakht jaani hi tanhaai na poochh,
subha karna shaam ka lana hay joo-e sheer ka,

jazba-e be- ikhtiyaar-e shouq dekha chaheye,
seena-e shamsheer sey bahar hay dam shamsheer ka,

Aagahi daam-e shunidan jis qadar chahey bichaay,
mud'da'a anqa hay apny aalam-e taqreer ka,

bas k hoon Ghalib, aseeri main bhi aatish zair-pa,
moe aatish deeda hay halqa meri zanjeer ka.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 410