donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Rafiq Shakir
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koi hai sarsabz lekin koi pila paat hai *
Ghazal numa

Koi hai sarsabz lekin koi pila paat hai
Ek sab ki zat hai
Firqa bandi , kusht-o-khoo’n wa ghundah gardi ka tareeq 
Aap ki soghaat hai 
Aap suli par charhaade’n phir bhi mai’n sach hi kahoo’n 
Raat hai to raat hai 
Perh par jhule parhe hai’n garahi hai’n goraiya’n 
Gao’n me’n barsaat hai
Hath me’n tirshul bhaale ,phir ahinsa ke amin! 
Yeh bhii koii baat hai 
Ketne sarkash ho gaye zer-o-zabar shakir yaha’n 
Shah ko bhi maat hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370