donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mirza Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kehne mein nahi hai woh hamare kayi din se *
Kehne mein nahi hai woh hamare kayi din se
Phirte hain inhen ghair ubhare kayi din se
Jalve nahi dekhe jo tumhare kayi din se
Andher hai nazdeek hamare kayi din se
Aashiq se woh kuche mashooq mein bola
Raaste nahi hain bheed ke maare kayi din se
Be subah nikalta mahi woh raat ko ghar se
Khurshid ke andaaz hai saare kayi din se
Ham jaan gavayi aankh milao na milao
Bigde huye hain tevar tumhare kayi din se
Aakhir meri aahon ne asr apna dikhaya
Ghabraye huye phirte ho pyaare kayi din se
Kis kisht ka kal rakha sog meri jaan
Gesu nahi kyun tumne saavare kayi din se
Kis chaak gareban ka kiya aapne maatam
Kapde bhi nahi tum ne utaare kayi din se
Deewana hai, saudai hai farmaate hai aksar
In naamon se jaate hain pukaare kayi din se
Dil phans gaya hai aapki zulfon mein hamara
Hai bandah bedam tumhaare kayi din se
Ek shab mere ghar aan ke mehmaan rahe the
Aaye nahi is sharam ke maare kayi din se
Munh gaal pe rakh dete hai sote mein chimat kar
Kuch kuch to haya kam hui baare kayi din se
Mehndi bhi ha misi bhi hai lakha bhi hai lab par
Kuch rang hai berang tumhaare kayi din se
Dar se tere ka kal ke nahi chalte hai raaste
Dam band hai is saanp ke maare kayi din se
Phir Shauq se kya is but ayyar se bigaadi
Hote nahi bahm jo ishaare kayi din se
********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342