* Kyaa zaruuri hai ab yeh bataana meraa *
Kyaa zaruuri hai ab yeh bataana meraa
TuuTtii shaaKh par thaa Thikaana meraa
Gham nahiiN ab milii haiN jo tanhaiiyaaN
anjuman anjuman thaa fasaana meraa
ek zamaanaa kabhii thaa ham-navaa meraa
tumne dekhaa kahaaN voh zamaana meraa
be-zamiini ka miltaa hai taa'na mujhe
jurm Thehraa hai bastii basaanaa meraa
arz-e-Bhopal se thaa taa'lluq thaa kabhi
ab to sab kuchh hai Larkaana meraa
One of his couplets is nearly zarb-ul-misl and oft-quoted.
nairangii-e-siaasat-e-dauraaN to dekhiye
manzil unheN milii jo shariik-e-safar na the
baat kahne kii hameshaa bhuule
laakh angusht pe dhaaga bandhaa
|