* Terey badan se jo chu kar idhar bhi ata hai *
Terey badan se jo chu kar idhar bhi ata hai
misaal e rung woh jhoonka, nazar bhi ata hai
tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas dia
hawa ki raah main ik esa ghar bhi ata hai
woh muj ko toot ke chaheyga , chor jayega
muje khabar thi usey yeh hunar bhi ata hai
ujaarrr ban main utarta hai ik jugnu b
hawa k saat koi humsafar bhi ata hai
wafa ki kon si manzil pe usney chora tha
k woh to yaad humain bhool kar bhi ata hai
jahan laho k sumandar ki had theharti hai
wahin jazeera e laal o guhar bhi ata hai
chaley jo zikar Farishton ki Paarsaayee ka
Tu zeer e behas muqaam e bashar bhi ata hai
abi siinaaa ko sanbhaaley rahain adow merey
ke in saffon main kahin mera sar bhi ata hai
kabi kabi muje milney bulandiun se koi
Shuaa e Subah ki surat utar bhi ata hai
issi lie main kissi shab na so saka 'Mohsin'
woh mahtaab kabi baam par b ata hai |