|
* Phir vohi main hon vohi shehar badar sannata *
Phir vohi main hon vohi shehar badar sannata,
mujko dass ley na kahin khaak basar sannata,
dasht e hasti mein shab e gum ki sehar karney ko,
hijar valon ne liya rakhat e safar sannata,
kis se puchon k kahan hai mera roney vala,
is taraf mein hon, merey ghar se udhar sannata,
tu sadaaon k bhanvar mein muje avaz to dey,
tuj ko dey ga merey honey ki khabar sannata,
us ko hungama manzil ki khabar kia do gey ?
jis ne paya ho sir e rahguzar sannata,
hasil kunj e qufas , veham bakaf tanhai,
ronaq e shaam e safar , ta ba sehar sannata,
qismat e sha'ir e seemaab sifat , dasht ki mout,
qeemat e reeza almaas e hunar sannata,
Jaan e 'Mohsin' meri taqdeer mein kab likha hai,
dobta chaand , tera qurb , gajar , sannata. |
|