|
* Wafa main ab yeh hunar ikhtayar karna hai *
Wafa main ab yeh hunar ikhtayar karna hai,
woh sach kahay na kahay aitbaar karna hai,
yeh tuj ko jagtey rehney ka shauq kab se hua ?
Muje to khair tera Intezaar karna hai,
hava ki zad main jalanay hain aansuon ke chiraag,
kabi yeh jashan sar e rah guzar karna hai,
woh muskura k naye waswasson main daal geya,
Khayal tha ke ussey sharamsaar karna hai,
misaal e shakh e barhana e khazan ki rut main kabi,
khud apney jism ko beybarg o baar karna hai,
terey firaaq main din kis tarha katain apney,
ke shughal e shab to sitarey shumaar karna hai,
chalo yeh ashk hi moti samj ke beech ayen,
kisi tarha to humain rozgaar karna hai,
kabi to dil main chupey zakham b numayaan hoon !
quba samj kar badan ko taar taar karna hai,
KHUDA khabar yeh koi zid ke shauq hai "Mohsin",
khud apni jaan ke dushman se pyar karna hai. |
|