|
* Gumsum si rehguzar thi , kinara nadi ka tha *
Gumsum si rehguzar thi , kinara nadi ka tha,
pani mein chand , chand mein chehra kisi ka tha,
ab zindagi sanbhal ke leta hai tera nam,
yeh dil ke jis ko shoq kabi khudkushi ka tha,
kuch abar bhi they banjh zameen se darey huaye,
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha,
kehney ko dhoondtey they sabhie apne khad o khaal,
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha,
woh ihtiyaat e jaan thi ke be rabti e khayal,
saye pe bhi guman muje admi ka tha,
mushkil kahan they tarak e mohabbat ke marhalay,
ay dil magar saval teri zindagi ka tha,
woh jis ki dosti hi mataa e khaloos thi,
Mohsin woh shakhs bhi mera dushman kabi ka tha. |
|