|
* Us simt mujh ko yar ne jane nahi diya, *
Us simt mujh ko yar ne jane nahi diya,
ek aur shahar e yar may aane nahi diya,
Kuchh aur waqt chahte the ki soche'n tere liye,
tune wo waqt ham ko zamane nahi diya,
Manzil hai is mahak ki kaha'n kis chaman may hai,
is ka pata safar may hawa ne nahi diya,
Roka ana ne kawish e besud se mujhe,
us but ko apna hal sunane nahi diya,
Hai jis ke bad ahad e zawal aashna "Munir",
itna kamal ham ko Khuda ne nahi diya. |
|