donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mokhtar Ali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jhoot de deta hai khud apni shahadat kaisi! *
Jhoot de deta hai khud apni shahadat kaisi!
Ho'nt hilte hai'n to urh jaati hai rangat kaisi

Kaam banne nahi'n paata ke bigarh jaata hai
Aa tapkti hai yeh har kaam me'n ujlat kaisi

Be sakuni hi miya'n hai dil wahshi ka elaaj
Mutmain hoo'n to bigarh jaati hai halat kaisi!

Sukhne garam ko hai sozishe dil bhi darkar
Sher kahna hai to phir us me'n sahoolat kaisi

Yeh chiragh aur woh saamane safar rakkha hai
Jis ko jaana hai chala jaaye , ijazat kaisi

Tum ke thhe khattae gunjaan ke baasi "Mukthar"
Raas aayee tumhei'n sahra ki sokunat kaisi

P.O.Box No.8755,
Jeddah-21492 (Saudi Arabia) 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397