donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Momin Khan Momin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Asar usko zaraa nahii’n hotaa *
Asar usko zaraa nahii’n hotaa ,
ranj raahat fazaa nahii’n hotaa,

be wafa kahne ki shikayet hai,
To bhi waada wafa nahi hota,

Zikre aghiyar se hua maloom,
Harfe nasah bura nahi hota,

Kis ko hai zauq talkh kalami ka,
Jang bin kuchh maza nahi hota,

tum hamaare kisii tarah na hue ,
varanaa duniyaa me’n kyaa nahii’n hotaa,

usne kya jane kya kiya le kar,
dil kisi kaam ka nahi hota,

imtehaa’n kijiye mera jab tak,
shauq zor aazma nahi hota,

aik dushman ke charkh hi na rahe,
tujh se yeh aye dua nahi hota,

naarasaaii se dam ruke to ruke ,
main kisii se Khafaa nahii’n hotaa,

tum mere paas hote ho goyaa ,
jab koii duusaraa nahii’n hotaa,

haal-e-dil yaar ko likhuu’n kyo’n kar ,
haath dil se judaa nahii’n hotaa,

chaaraye dil sewae sabr nahi,
so tumhare sewa nahi hota,

kyon sune arz-e-muztarib ae 'Momin' ,
sanam aakhir Khudaa nahii’n hotaa.
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361