donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Momin Khan Momin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shab-e-gham-e-furqat hamei'n kya kya maze dikhalae tha *
Shab-e-gham-e-furqat hamei'n kya kya maze dikhalae tha,
dam ruk tha sine mai'n kambakht ji ghabrae tha,

bal be ayari adu ke aage wo paima'n shikan,
wada-e-wasl phir karta tha aur sharmae tha,

sun ke meri marg bole mar gaya achha hua,
kya bura lagta tha jis dam samne aa jae tha,

baat shab ko us ke mana-e-beqarari se bari,
ham to samjhe aur kuchh wo aur kuchh samjhae tha,

koi din to us pe kya taswir ka aalam raha,
har koi hairat ka putla dekh kar ban jae tha,

su-e-sahra le chale us ku se meri nash hae,
tha yahi dar in dino'n talwa mera khujlae tha,

ho gai do roz ki ulfat mai'n kya halat abhi,
"Momin"-e-wahshi ko dekha is taraf se jae tha.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353