donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Momin Khan Momin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye *
Shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye 
khoye gaye ham aise ke aGyaar paa gaye 

majalis me.n us ne paan diyaa apane haath se 
aGyaar sabz baKht the ham zahar khaa gaye 

Gairo.n se ho vo pardaanashii.n kyo.n na behijaab 
dam haay be-asar mere pardaa uThaa gaye 

vaa_iz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuu.N 
aalam shab-e-vasl ke aa.Nkho.n me.n chhaa gaye 

duniyaa hii se gayaa mai.n jo nahii.n naaz se kahaa 
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye 

ai "Momin" aap kab se hue ba.ndaa-e-butaa.N 
baare hamaare ??? me.n hazarat bhii aa gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337