donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Momin Khan Momin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shab tum jo bazm-e-Ghair me’n aankhe’n churaa gaye *
Shab tum jo bazm-e-Ghair me’n aankhe’n churaa gaye 
khoye gaye ham aise ke aghyaar paa gaye

majalis men us ne paan diyaa apane haath se 
aghyaar sabz bakht the ham zahar khaa gaye

Ghairon se ho vo pardaanashiin kyon na behijaab 
dam haay be-asar mere pardaa uthaa gaye

vaaiz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuun
aalam shab-e-vasl ke aankhon men chhaa gaye

duniyaa hii se gayaa main jo nahiin naaz se kahaa 
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye

ai "Momin" aap kab se hue bandaa-e-butaan 
baare hamaare men hazarat bhii aa gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355