donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Momin Khan Momin
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dar to mujhe kiska hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta, *
Dar to mujhe kiska hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,
par hal ye afsha'n hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

naseh ye gila hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,
tu kab meri sunta hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

kuchh ghair se hontho'n mei'n kahe hai pe jo puchho,
too wahi'n mukarta hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

naseh ko jo chahu'n to abhi thiik bana du'n,
par khauf Khuda ka hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

chup ke se tere milne ka ghar walo'n mei'n tere,
is waste charcha hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

ae charagaro qabil-e-darma'n nahi'n ye dard,
warna mujhe sauda hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

har waqt hai dushnam har ek baat pe taana,
phir is pe bhi kahta hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta,

"Momin" ba-Khuda sihar bayani ka jabhi tak,
har ek ko dawa hai ke mai'n kuchh nahi'n kahta.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345