donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mona Shahab
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mujhe tan se ziyaada, us kaa mann achchhaa lagaa thaa *
Mujhe tan se ziyaada, us kaa mann achchhaa lagaa thaa,
aur us ki shakhsiyat kaa baaNkpan achhaa lagaa thaa,
Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se us ki,
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa thaa,
vo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaayrii meN,
mujhe uss kaa yehii diivaanaapan achchhaa lagaa thaa,
zamaanaa keh rahaa thaa us ke baare meN fasaane,
magar mujh ko tau us kaa har chalan achchhaa lagaa thaa,
dhanak ke raNg hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko,
mujhe tau eik saadaa pairahan achchhaa lagaa thaa,
bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN main,
ke us lahje kaa mujh ko dhiimaapan achchhaa lagaa thaa,
mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai vo,
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa thaa,
vo jis dam us ne mujh se khelne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche kaa apne, bholaapan achchhaa lagaa thaa,
pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai,
jise phailaa huvaa niilaa gagan achchhaa lagaa thaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 715