* Kayee sadio’n se weera’n hai khuda ka ghar zara thahro *
Ghazal numa
Kayee sadio’n se weera’n hai khuda ka ghar zara thahro
Jhuka len sar zara thahro
Hamesha raat hi me kyo’n safar karta hai sehra me’n
Koyee lashkar zara thahro
Ye kaisa shahar hai janaa’n ke sab ungli uthate hai’n
Mohabbat par zara thahro
Feza aa’ngan ki badlegi darodeewar mahke’nge
Mere dilbar zara thahro
Chaman me’n raqs karta hai gulabo’n ki qataro’n ka
Wahi manzar , zara thahro
Sadai’n de raha hai gaao’n ka kachha maka’n Mahzar
Kabhi aakar zara thahro
|