|
* Saara naqsha bana banaya ,bigrha kheencha taanee me’n *
Ghazal numa
Saara naqsha bana banaya ,bigrha kheencha taanee me’n,
Yaro’n ki nadaani me’n.
Jo tha apna ,saamne apne ,sb kuchh jal kar raakh hua,
Apni tan aasani me’n.
Saathi sare chhoot gaye aur kashtee bhee gharqab huyee,
Dariya ki naadan me’n.
Mittee ka tha toot gaya ,ghar aangan sab barbad hua,
Mausam ki nadanee me’n
Phool khile murjha bh gaye aur dhoop bhi chhat se utar gayee,
Unki aana kanee me’n
|
|