jabi.n par khak hai ye kis ke dar ki
balae.n le raha hu.n apne sar ki
ubhar aai hai.n phir choTe.n jigar ki
salamat barchhiya.n tirchhi nazar ki
qayamat ki haqiqat jaanta hu.n
ye ek Thokar hai mere fitnagar ki
kiya majbur aain-e-wafa ne
na karni thi wafa tum se magar ki
na manoge na manoge hamari
udhar ho jaegi duniya idhar ki
hui an-ban kisi se mujh pe barse
balae.n mere sar dushman ke sar ki
na tere husn-e-be-parwa ki ghayat
na koi had mere zauq-e-nazar ki
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸