donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mubarak Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dekhe use har aankh ka ye kaam nahi.n hai *

dekhe use har aankh ka ye kaam nahi.n hai

kuchh khel tamasha-e-lab-e-baam nahi.n hai

mai.n mo'tarif-e-jurm hun jo chaho saza do

ilzam-e-tamanna koi ilzam nahi.n hai

wo subh bhi hoti hai shab-e-tar se paida

jis ko khatar-e-tirgi-e-sham nahi.n hai

jo dil hai wo labrez-e-tamanna hai 'mubarak'

is jam se achchha to koi jam nahi.n hai


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 168