dard-e-dil yar raha dard se yari na gai
zindagi hum se to be-lutf gizari na gai
din ke nale na gae raat ki zari na gai
na gai dil se kabhi yaad tumhaari na gai
hum to khuu.n-gashta tamannao.n ke matam mei.n rahe
sina-kubi na gai sina-figari na gai
intizar aap ka kab lutf se khaali nikla
raega.n raat kisi roz hamari na gai
bakhshwaya mujhe tum ne to khuda ne bakhsha
na gai roz-e-jaza baat tumhaari na gai
log kahte hai.n badalta hai zamana lekin
din hamara na gaya raat hamari na gai
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸