donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mubarak Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baghal mei.n hum ne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai *

baghal mei.n hum ne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai

tumhi.n is khwab ki tabir ho kya khwab dekha hai

taDap bijli ki bhi dekhi hai wo dil tham lete hai.n

teri be-tabiyo.n ko bhi dil-e-betab dekha hai

wo ulfat dost ho.n naseh dua hi dil se nikli hai

agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbab dekha hai

khuda ke samne ai mohtasib sach bolna hoga

mere saghar mein mai dekhi hai ya khuu.n-nab dekha hai

'mubarak' iztirab-e-shauq ka aalam nahi.n chhupta

ki jab dekha hai hum ne aap ko betab dekha hai


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 158