donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mubarak Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* parde parde mei.n bahut mujh pe tere war chale *

parde parde mei.n bahut mujh pe tere war chale

saf ab halq pe khanjar chale talwar chale

duri-e-manzil-e-maqsad koi hum se puchhe

baiThe sau bar hum us rah mei.n sau bar chale

kaun pamal hua us ki bala dekhti hai

dekhta apni hi jo shokhi-e-raftar chale

be-piye chalta hai yu.n jhum ke wo mast-e-shabab

jis tarah pi ke koi rind-e-qadah-khwar chale

chashm o abru ki ye sazish jigar o dil ko nawed

ek ka tir chale ek ki talwar chale

kuchh is andaz se sayyaad ne aazad kiya

jo chale chhuT ke qafas se wo giraftar chale

jis ko rahna ho rahe qaidi-e-zinda.n ho kar

hum to ai ham-nafaso phand ke diwar chale

phir 'mubarak' wahi ghanghor ghaTaen aai.n

jaanib-e-mai-kada phir rind-e-qadah-khwar chale


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 162