samjhae.n kis tarah dil-e-na-karda-kar ko
ye dosti samajhta hai dushman ke pyar ko
nikla chamak ke mohr-e-qayamat bhi aur hum
baiThe rahe chhupae dil daghdar ko
saqi na mai na jam na mina na mai-kada
aamad bahaar ki ho mubarak bahaar ko
kya kya bigaD mein bhi adae.n hai.n dil-fareb
kitne banaw aate hai.n gesu-e-yar ko
naseh ka imtiha.n 'mubarak' ho ek din
thoDi pila ke dekhiye us hoshiyar ko
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸