donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mubarak Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui *

tumhaari shart-e-mohabbat kabhi wafa na hui

ye kya hui tumhin kah do agar jafa na hui

qadam qadam pe qadam laDkhaDae jate the

tamam umr bhi tai manzil-e-wafa na hui

tumhi.n kaho tumhein na-ashna kahen na kahe.n

ki aashna se ada rasm-e-ashna na hui

teri ada ki qasam hai teri ada ke siwa

pasand aur kisi ki hamei.n ada na hui

hamin ko dekh ke khanjar nikalte the aap

hamare baad to ye rasm phir ada na hui

KHuda ne rakh liya naz o niyaz ka parda

ki roz-e-hashr meri un ki barmala na hui


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 126