mohabbat me.n Thani aksar yaha.n tak
ki pahu.nche maarke tiir o kamaa.n tak
chale naavak khi.nchi zaalim kamaa.n tak
kaha.n tak imtiha.n aakhir kaha.n tak
chale jaate hai.n aavaz-e-jaras par
pahunch jayenge bichhde kaarva.n tak
hava-e-shauq ke jho.nke salamat
rahoge tum pas-e-parda kaha.n tak
na vo ayyaar mujh se poochhta hai
na dil ki baat aati hai zabaa.n tak
usi sar ko sar-e-shorida kahiye
jo pahu.nche us ke sang-e-aasta.n tak
niyaz o naaz ke charche rahe.nge
hamari aur tumhari daasta.n tak
'mubarak' ko koi din aur sun lo
baya.n ka lutf hai us khush baya.n tak
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸