donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muhammad Alvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Na tum hu’e ho na ham hu’e haiN *
Na tum hu’e ho na ham hu’e haiN,
yuuN hii ye qisee raqam hu’e haiN,
(raqam : inscribed)
na hamne sehraa kii Khaak chhaanii,
na un ke ruKhsaar nam hu’e haiN,
( ruKhsaar : cheeks)
na ko’ii shikve shikaayateN haiN,
na ham pe ko’ii sitam hu’e haiN,
(shikve : complaints)
azaab utre haiN dushmanii meN,
na dostii meN karam hu’e haiN,
Khudaa ne ham ko bhulaa diyaa hai,
hamaare dushman sanam hu’e haiN,
zaruurateN bhii baRhii haiN “Alvi”,
gireh meN paise bhii kam hu’e haiN.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 402