donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Muhammad Deen Taseer
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aisii raateN bhii ka’ii guzrii haiN *
Aisii raateN bhii ka’ii guzrii haiN,
jab terii yaad nahiiN aayii hai,
dard siine meN machaltaa hai magar,
lab pe faryaad nahiiN aatii hai,
har gunaah saamne aa jaataa hai,
jaise taariik chaT-TaanoN kii qataar,
na ko’ii hiilaa-e-teshaa-kaarii,
na madaavaa-e-rihaa’ii, na faraar,
aisii raateN bhii haiN guzrii mujh par,
jab terii raah-guzar meN saaye,
har jagah chaar taraf the chhaaye,
kabhii bhaage, kabhii aaye,
tuu na thii, terii tarah ke saaye,
saaye hii saaye the raqsaaN,
maiN na thaa, merii tarah ke saaye,
saaye hii saaye the larzaaN larzaaN,
saaye hii saaye terii raahguzaar ke saaye,
aisii raateN bhii haiN guzrii mujh par,
jab terii yaad nahiiN aayii hai.
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 591