* Mai'n aksar neend me'n uth baithta hoo'n *
Mai'n aksar neend me'n uth baithta hoo'n
Koyee shai mere andar bolti hai
Woh tere paas bhi milti kahaa'n se
Lahoo me'n apne ab jo sansani hai
Koyee ho jo hawa ka haath pakrhe
Cheragho'n ki lawe'n yeh kati hai
Makano'n se nahi'n basti hai basti
makeeno'n ko abhi yeh dhoo'ndti hai
Dareeche khol kar rakkhe hai'n "Sayyed"
Hawa ki mauj mujh ko jaanti hai
P.O.Box No.8755,
Jeddah-21492 (Saudi Arabia)
|