donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* EHSAAS E REG E JAA'N ME'N YE SARAAB KA TA'AQQUB *
EHSAAS E REG E JAA'N ME'N YE SARAAB KA TA'AQQUB
KAB TAK KAROGE AAKHIR IK KHWAAB KA TA'AQQUB
 
HAME'N DE RAHA HAI DHOKA YE HUBAAB KA TA'AQQUB
ABHI UMR KAR RAHI HAI, JO SHABAAB KA TA'AQQUB
 
DIKHLAAE'N JAANE KYA KYA, YE TAQAAZE MASLEHAT KE
KHURSHEED KI TABEEAT, MEHTAAB KA TA'AQQUB
 
YE KARISHMA BHI HAI MUMKIN, JO BALAND HO'N IRAADE
KARTI HAI'N KASHTIYAA'N BHI GIRDAAB KA TA'AQQUB
 
YE JUNOO'N KI AAZMAAISH, YE HAI WAHSHATO'N KI SAAZISH
MUJHE MAAR HI NA DAALE YE AZAAB KA TA'AQQUB
 
KABHI ZEHN DAR BA DAR HAI, KABHI MUNTASHIR TABEEAT
MERA IZTERAAB E PAIHAM, SEEMAAB KA TA'AQQUB
KABHI KOI PAL SUKOO'N KA NA HUA NASEEB MUJH KO
MERI ZINDAGI MUSALSAL SAILAAB KA TA'AQQUB
 
TUJHE TOD DEGA AAKHIR YE TERA JUNOON E BE JAA
'MUMTAZ' TARK KAR DE NAYAAB KA TA'AQQUB
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331