donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* na sehra meN bhatke, na saagar khaNgaale *
na sehra meN bhatke, na saagar khaNgaale
kahaN tak koi aarzoo ko sambhaale
 
abhi maslehat ki sadaa raaygaaN hai
abhi to khirad hai junooN ke hawaale
 
takhayyul pe hai teerabakhti ka pehra
zubaaN par lage haiN khamoshi ke taale
 
ab is ke liye us ko takleef kya deN
chalo khud hi ham phod leN dil ke chhaale
 
nisaar is junooN ke, ke deewangi meN
muqaddar ke ham ne kai bal nikaale
 
junooN se kaho, tol le apni hasti
iraade se keh do ke par aazmaa le
 
tumhen nuqtacheeno, dikhaaeNge ham bhi
zafaryaab honge saee karne waale
 
badi der se muntazar haiN ummeedeN
muqaddar tamanna ko vaadoN pe taale
 
 
shafaq ne uroosi qaba zeb tan ki
gale mil rahe haiN andhere ujaale 
 
phiraaey khirad ko na jaane kahan tak
tasawwar ke 'Mumtaz' haiN dhab niraale
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 342