donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tashnagi ko to saraaboN se bhi chhal sakte the *
tashnagi ko to saraaboN se bhi chhal sakte the
ik inaayat se mere khwaab bahel sakte the
 
 
tum ne chaaha hi nahiN, warna kabhi to jaanaaN
mere toote hue armaaN bhi nikal sakte the
 
 
tum ko jaana tha kisi aur hi jaanib, maana
do qadam phir bhi mere saath to chal sakte the
 
 
kaawishoN meN hi kahiN koi kami thi, warna
ye iraade meri qismat bhi badal sakte the
 
 
raas aa jaata agar ham ko anaa ka sauda
khwaab aankhoN ke haqeeqat meN bhi dhal sakte the
 
 
ham ko apni jo anaa ka na sahaara milta
ladkhadaae the qadam yuN, ke phisal sakte the
 
 
is qadar sard na hoti jo agar dil ki fazaa
aarzoo'on ke ye ashjaar bhi phal sakte the
 
 
ye to achha hi hua, bujh gai ehsaas ki aag
warna aankhoN men saje khwaab bhi jal sakte the
 
 
haar baithe the tumhiN hausla ik laghzish meN
ham to 'Mumtaz' phisal kar bhi sambhal sakte the
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 319