donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAWAA E SARD SE CHINGAARIYAAN AKSAR NIKAALI HAIN *
HAWAA E SARD SE CHINGAARIYAAN AKSAR NIKAALI HAIN
MERE MEHBOOB KI YAARO ADAAEN BHI NIRAALI HAIN
 
CHALO DEKHEN HAQEEQAT RANG IN MEN KAISE BHARTI HAI
TASAWWAR MEN HAZAARON HAM NE TASWEEREN BANA LI HAIN
 
MOHABBAT KA DAFEENA JAANE KIS JAANIB HAI POSHEEDA
HAZAARON BAAR HAM NE DIL KI JAAGEEREN KHANGAALI HAIN
 
KAHAN RAKKHEN INHEN IS CHOR QISMAT SE BACHA KAR AB
GUZARTE WAQT SE DO CHAAR JO KHUSHIYAAN CHURA LI HAIN
 
PARASTISH AANDHIYON KI AB HAR IK SOORAT ZAROORI HAI
TAMANNAON KI PHIR IK BAAR JO SHAM'EN JALAA LI HAIN
 
HAWAA BHI AA NA PAAE AB KABHI IS OR MAAZI KI
KE APNE DIL KE CHAARON SIMT DEEWAAREN UTHAA LI HAIN
 
BADA CHARCHAA HAIN REHMAT KA TO DEKHEN AB ATAA KYA HO
MUQADDAR SAAZ KE DAR PAR TAMANNAAEN SAWAALI HAIN
 
ZARAA SA CHOOK JAATE HAM TO YE HASTI BIKHAR JAATI
BADE MOHTAAT HO KAR HAM NE YE KIRCHEN SAMBHAALI HAIN
 
UMMEEDEN HAM KO BEHLAATI RAHIN LEKIN YAHI SACH HAI
ABHI TAK TAAR HAI DAAMAN ABHI TAK HAATH KHAALI HAIN
 
GILAA 'MUMTAZ' AB KYUN HAI KE FITNE SAR UTHAATE HAIN
JAHAN MEN HAM NE HI NAFRAT KI BUNIYAADEN BHI DAALI HAIN
*********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 316