donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* LAHOO AB TAK TAPAKTA HAI ABHI HAR ZAKHM HAI TAAZA *
LAHOO AB TAK TAPAKTA HAI ABHI HAR ZAKHM HAI TAAZA
BIKHAR JAAE NA AYE JAANAM MOHABBAT KA YE SHEERAZA
 
AGAR US PAAR JAANA HAI TO LEHRON MEN UTAR JAAO
KINAARON SE KAHAN HO PAAEGA LEHRON KA ANDAAZA
 
SIYAAHI PHAILTI JAAEGI AAKHIR KO FAZAAON MEN
ABHI TO SAJ RAHA HAI RAAT KE RUKHSAAR PE GHAAZA
 
KOI KOHSAAR THA SHAAYAD HAMAARI RAAH MEN HAAIL
PALAT AAI SADA KAAVISH KI ARMAANON KA AAWAZA
 
BIKHARNA TOOTNA BAN NA SANWARNA PHIR BIGAD JAANA
UTHAANA HI PADEGA ZEEST KO HASRAT KA KHAMIYAAZA
 
YE TOOFAA.N TO HAMAARI ZAAT KE ANDAR UTAR AAYA
KAHA KIS NE UMMEEDON SE KHULA RAKKHEN WO DARWAAZA
 
TAPISH AISI THI LOO KI GUL TO GUL GHUNCHE BHI KUMLAAE
BACHA KAB GULSHAN E HASTI MEN KOI PHOOL BHI TAAZA
 
KIYA JAAEGA PHIR 'MUMTAZ' KHUSHIYON KA TANASUB BHI
ABHI TO KAR RAHI HAI ZINDAGI ZAKHMON KA ANDAAZA
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 301