donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KOI HIKMAT NA CHALI KOI BHI DARMAA'N NA CHALA *
KOI HIKMAT NA CHALI KOI BHI DARMAA'N NA CHALA
PUR NAHIN HOTA KISI TAUR MERE DIL KA KHALAA
 
TO TAMANNAO'N KI QURBAANI BHI KAAM AA HI GAI
SURKHROO HO KE CHALO AAJ KA SOORAJ BHI DHALAA
 
MUNTAZIR GHADIYO'N KI RAAHE'N JO HUI'N LAAMEHDOOD
LAMHAA LAMHAA THA TAWEEL ITNA KE TAALE NA TALAA
 
AAJ BHI HAM NE TUJHE YAAD KIYA HAI JAANAM
DIL KE ZAKHMO'N PE NAMAK AAJ BHI JEE BHAR KE MALAA
 
AB HUKOOMAT ME'N ANAA KI O YAHI HONA THA
DIL KO BEHLAAYA BAHOT, KHOOB TAMANNA KO CHHALAA
 
TASHNAGI KA YE SAFAR AUR KAHA'N LE JAATA
MUJH KO LE AAYA SARAABO'N ME'N MERA KARB O BALAA
 
JAB SE BAAZAAR NE JAZBAAT PE DAALI HAI GIRAFT
PHIR ZAMAANE ME'N MOHABBAT KA YE SIKKA NA CHALAA
 
DIN TO 'MUMTAZ' KHAYAALO'N SE MUZIR THA LEKIN
RAAT KHAAMOSH HUI JAB, TO MERA ZEHN JALAA
******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357