donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* RAATO.N KI SIYAAHI PEENE KO AYE KAASH KOI MEHTAAB TO HO *
RAATO.N KI SIYAAHI PEENE KO AYE KAASH KOI MEHTAAB TO HO
SAANSE.N HAIN TO JEENA PADTA HAI JEENE KE LIYE IK KHWAAB TO HO
 
AAHAT NA KOI AAWAAZ HAI AB, KHAAMOSH HAI AB TO ROOH TALAK
YE TAAR E NAFAS GAA UTTHEGA HAATHO.N ME.N KOI MIZRAAB TO HO
 
AAEGA MAZAA KYA KHAAK YAHA.N US PAAR UTARNE KAA YAARO
KASHTI KO DUBONE KI KHAATIR BETAAB KOI GIRDAAB TO HO
 
BAS SAANS HI LENE KO SAAHAB JEENA TO NAHIN KEH SAKTE HAIN
SEENE ME.N KHALISH BHI LAAZIM HAI AANKHO.N ME.N ZARA SA AAB TO HO
 
AB ISHQ NAHIN HAM KO US SE HAM SE HAI ABAS YE US KA GILAA
HAM JAAN NICHHAAWAR KAR DENGE US ME.N WO SIFAT NAAYAAB TO HO
 
BEJAA.N HAI DIL E WAHSHI KI FAZAA KYA KHAAK MAZA PHIR WASL ME.N HO
HAR LAMS SE RAQSAA.N HO JAAE HASTI ME.N BHARA SEEMAAB TO HO
 
AB BAND HAI APNE AAP ME.N KYU.N AAWAAZ HAME.N DI THI TU NE
AA TO PAHONCHE HAM DAR PE TERE LEKIN WAA KOI BAAB TO HO
 
HO JAAE NA JAL KAR KHAAK KAHI.N BEENAAI TERI IN AANKHO.N KI
RAKH DEED KI KHWAAHISH DIL ME.N MAGAR AANKHO.N ME.N ITNI TAAB TO HO
 
HASTI ME.N TALAATUM LAAKHO.N HAI.N LEKIN WO TADAP NAAYAAB HUI
'MUMTAZ' TADAPNE KI KHAATIR SEENE ME.N DIL E BETAAB TO HO
**********************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372