donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MERI RAAHAT MERI NEENDEN MERE SAB KHWAAB LAUTA DO *
MERI RAAHAT MERI NEENDEN MERE SAB KHWAAB LAUTA DO
PADA HAI JO TUMHARE PAAS WO ASBAAB LAUTA DO
 
TUMHARE PAAS MERI KITNI HI CHEEZEN PADI HONGI
NAZAR MEN HONGI KUCHH, KUCHH TEERA KONON MEN GADI HONGI
BAHOT SE QEEMTI LAMHE HAIN KUCHH GHAMNAAK PAL BHI HAIN
MOHABBAT KI NIGAAHEN BHI HAIN KUCHH ABROO KE BAL BHI HAIN
TUMHARI TAIRTI NAZRON KI KUCHH RANGEEN QABAAEN HAIN
HAYAA MEN BHEEGTI SI SIMTI SIMTI KUCHH ADAAEN HAIN
 
KISI KONE MEN BIKHRA SA KOI EHSAAS BHI HOGA
DABAA YAADON KI PARTON MEN KOI QARTAAS BHI HOGA
WO KAAGHAZ JIS PE LIKKHE THE MERI CHAAHAT KE AFSAANE
MUJHE LAUTA DO MERE GHAM KE WO AABAAD VEERANE
MERE MAAZI KI WO HASRAT BHARI RAATON KI TAARIKI
HAR IK EHSAAS HAR IK LAMS HAR IK YAAD MAAZI KI
MERA HAR ZAKHM SAARE AABLE SAARI KHARAASHEN BHI
MERI DAM TODTI KHUSHIYAAN MOHABBAT KI WO LAASHEN BHI
 
MACHALTA DARD, WO JAZBAAT KA SEEMAAB LAUTA DO
JO MUMKIN HO TO AB ASHKON KA WO SAILAAB LAUTA DO
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331