donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* YE BOJH ZEHN PE RAKHA HAI MAS'ALE KI TARAH *
YE BOJH ZEHN PE RAKHA HAI MAS'ALE KI TARAH
ZAMEER JAAGTA REHTA HAI AAINE KI TARAH
 
THA LEN DEN KA SAUDA, HAZAAR SHARTE'N THI'N
KIYA THA ISHQ BHI HAM NE MUAAHIDE KI TARAH
 
BAHOT SUKOON ME'N WEHSHAT SI HONE LAGTI HAI
HAME'N TO DARD O ALAM BHI HAI MASHGHALE KI TARAH
 
ZARA JO WAQT MILA TO IDHAR BHI DEKH LIYA
TERI HAYAAT ME'N HAM THE, PA HAASHIYE KI TARAH
 
KARE SALAM BHI EHSAAN KI TARAH AKSAR
HAMARA HAAL BHI POOCHHE TO WO GILE KI TARAH
 
HAMESHA LADTE RAHE WAQT KE THAPEDO'N SE
HAYAAT SAARI KI SAARI THI ZALZALE KI TARAH
 
ZARA KUCHH APNI SUNATA ZARA MERI SUNTA
KABHI TO RAABTA KARTA WO RAABTE KI TARAH
 
KHAYAAL O KHWAAB KA HAR ZAAVIYA ADHOORA HAI
TAPAK RAHA HAI DIL O ZEHN AABLE KI TARAH
 
QARAAR ME'N BHI AJAB EK BEQARAARI THI
HAME'N SUKOON MILA BHI TO AARIZE KI TARAH
 
ZARA HO KAM TO TALAB DARD KI BADH JAATI HAI
AZAAB BHI TO HAI 'MUMTAZ' IK NASHE KI TARAH
*******************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 316