donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mumtaz Naza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* KAB ZAMEEN HAAMI HAI MERI KAB FALAK BARHAM NAHIN *
KAB ZAMEEN HAAMI HAI MERI KAB FALAK BARHAM NAHIN
SAAMNE HAALAAT KE MERI JABEE.N BHI KHAM NAHIN
 
 
JAANLEWA HAIN BAHOT YAADON KI YE BECHAINIYAAN
BHOOL JAANE MEN BHI LEKIN KUCHH AZEEAT KAM NAHIN
 
 
LAATA'ALLUQ HOON MAIN APNI ZINDAGI SE YUN KE AB
GHAM NAHIN TAQDEER KA EHSAAS KA MAATAM NAHIN
 
 
UD RAHI HAIN DHAJJIYAN NAAKAAM JAZBON KI MAGAR
TUM KO BHI PARWA NAHIN MUJH KO BHI KOI GHAM NAHIN
 
 
LE GAYA WO SAATH SAARI RAUNAQEN HAR IK KHUSHI
DE GAYA RANJ O ALAM YE BHI INAAYAT KAM NAHIN
 
 
DHOOP KI SHIDDAT SE CHEHRA HAR SHAJAR KA ZARD HAI
HAI ZAMEE.N MURDA BAHARON KA HASEE.N MAUSAM NAHIN
 
 
TASHNAGI AISI KE SHABNAM BHI SAMANDAR HAI MUJHE
BEHISI AISI KE DIL KHAAMOSH AANKHEN NAM NAHIN
 
 
AARZOO 'MUMTAZ' MUJH SE MUNH CHHUPAATI HAI KE AB
MAR CHUKI HAR TASHNAGI AB PYAAS KA AALAM NAHIN
************************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315