|
* Chaman mai'n rang-e-bahar utra to mai'n ne dekha, *
Chaman mai'n rang-e-bahar utra to mai'n ne dekha,
Nazar se dil ka Ghubar utra to mai'n ne dekha,
Mai'n nim shab azama ke hasrat ko dekhta tha,
Chaman man vo husn zar utra to man ne dekha,
Khumar mai thi vo chehra kuchh aur lag raha tha,
Dam-e-sahar jab Khumar utara to man ne dekha,
Gali ke bahar tamam manzil badal gaye the,
Jo saya ek kuu-e-yar utara to mai'n ne dekha,
Ik aur dariya ka samana tha `Munir` mujh ko,
Mai'n ek dariya ke par utara to mai'n ne dekha.
|
|