* Rato main ghar na ashk bahaoon to kya karoo *
Rato main ghar na ashk bahaoon to kya karoo
ik pal bhi us ko bhool na paoon to kya karoon
mai ne suna hai un ko andhere nahi pasand
raho main ab mai dil na jalaoon to kya karoo
tumhi kaho ki chor de jab zindgi bhi sath
phir maut ko gale na lagaoon to kya karoo
socha to tha ki chor doo us ki gali `Murad`
lekin kahin qarar na paoon to kya karoo |